
Aaj Ki Jalne Ki Bu Kaha Se Aa Rahi Hai? Kon Hua Kisse Jealous Kisse jealous?
Lucknow ke ek shaadi function mein jo dhamake hue, uska culprit toh samajh aata hai—“jealousy aur hostel ka khana.” Imagine this: Ek shaandar wedding chal rahi hai, laddoo, biryani, butter naan ka sugandh pados ke hostel tak pahuch raha hai. Aur wahin pe, Bebas, Bechare, Bhuke Lucknow University ke hostel ke students apne daily dose of pathar jaisi roti aur phiki dal se pareshaan baithe hain. Bas, phir kya? Ye jealousy ka bomb phoot gaya jo ki real bomb mai badal gaya!
“Shaadi mein entry karao, warna goliyan chalengi!” Yeh hum koi Gangs of wasepur ki story nhi Sunna rahe hai, ye asli life ka kissa tha jo hostel ke khane ki wajah se fuel hua. Students ne decide kar liya ki agar humari shaadi mein entry nahi hui toh, phir kisi ki bhi nhi hone denge.
Hostel ke khaane ka experience toh har koi relate kar sakta hai. Aloo ke sabji mein aloo dhundhne ka talent develop ho jata hai, aur dal itni pani hoti hai ki swimming competition organize ho sakta hai. Ye students ka kehna hai
“Hostel mein sirf ek cheez unlimited milti hai— disappointment!”
Aise mein jab shaadi ke function ka badhiya khana unke saamne flaunt karega, toh gussa toh banta hai na?
Ek student ne kaha “Hum hostel mein jeene ka struggle kar rahe hain, aur yaha log paneer tikka aur gulab jamun udda rahe hain. Matlab, zindagi mein fairness naam ki cheez hoti hai ya nahi?”

Shaadi ke guests ka scene total filmy tha. Wo shanti se kachori kha rahe the, jab achanak students ka “Attack of the Hungry Hostelites” start ho gaya. Ek eyewitness ne kaha,
“Hum toh soch the hum toh soch rahe the khaana khaa k daaru pee k chale jaayenge, lekin yaha toh Hume return gift mili
Ek aur guest bola,
“Jo shadi ka function tha, wo hostel vs. biryani ka battlefield ban gaya.”
Yeh jealousy ka scene ek hi cheez sikhata hai—kabhi kisi hostel ke students ke samne shaadi ka khana flaunt mat karo. Kyunki hostel waale khaane ke liye kuch bhi kar sakte hain. Aur Lucknow University ke students ne toh proof de diya.
Toh agle time, agar kisi shaadi mein jaana ho, toh khana pehle hostel waalon ko bhejna mat bhoolna. Nahi toh Lucknow ka yeh jealous tale India key kisi bhi Kone mai phir repeat ho sakta hai!
Aur jo dulha aur dulhan the, wo toh samajh hi nahi paaye ki yeh jealousy ka blast kaise shaadi ke mandap tak pahuch gaya. Jealousy news ko andar ki Khabar aayi hai dulha kaafi Khush tha, aur humare reporter ko exclusively bataya logon ki Shaadi mai dhum dhamaka hota hai meri Shaadi mai real hua aur iss baat se mere rishtedar ho ya dost har koi jal raha hai, aur mujhe iss baat ki bohot Khushi hai, jealousy reporter shocked